summary of swami and friends
Answers
Answer:Swami aur uske dost RK Narayan ki pehli novel hai aur 1935 mein publish hua tha. Yeh kithab swami aur uske mitrom ke pure giroha aur school mein unke karanamom ke baare mein hai. Swami apne anushashith pita, pyari maa aur navjaat bhai ke saath malgudi mein rehta hai. Swami Albert Mission School mein padtha hai apne char doston ke saath - Somu, joh kaksh ka leader hai;Mani - jo koi kaam ka nahi hai lekin uske sabsa accha dost hai; Sankar - jo kaksh ka sabse acha padne wala hai;Samuel - jo pea karke bulaya jaatha tha kyunki woh size mein chota tha. Lekin yeh story Swami aur uske do aur dost - Mani aur Rajam ke baare mein hai. Rajam school ka naya ladka hai jo achha kapda pehentha hai aur angrezi bahut achhi tharah se bolta hai. Swami ko Rajam se dosti karni ki badi iccha thi aur jab dosti banti hai tho thoda bahut Swami aur uske purane doston ke beech mein takraav hota hai. Woh angrezon ke khilaaf ek vidroh mein samila hone ka nirnaya leta hai aur yehi uska jeevan ka ek naya mod ho gaya. Woh desh bhakti se yeh sab nahi kar raha tha. Sirf pathar phenkna aur sheeshen thodne mein maza leh raha tha. Is maamle ke kaaran vidyalay ke pracharya usko dand dethe hai aur Swami vidyalay se bhaag jaata hai. Phir se uska pravesh doosre school mein kiya jaata hai. Is samay mein Rajam aur Mani ek Cricket Club banathe hain aur doosre team ke saath match nischay karte hain. Is cricket abhyaas ke chakkar mein Swami apne school ka drill mein nahi jaa paa raha tha aur darke phir se bhaagta hai school aur ghar se. Woh apna rasta kho jata hai aur ek gaadi wala usko ghar pahunchatha hai. Tab Swami ko pata lagta hai ki usne cricket match mein upassthith na ho paya. Rajam ko iske kaaran gussa aata hai aur Swami se milne ko inkaar kar deta hai. Thode din mein Swami ko pata chalta hai ki Rajam ke papa ka sthanantharan ho gaya aur woh shehar chodke ja raha hai. Swami ko bahut bura lagtha hai lekin woh maanta hai ki Rajam ne usko maaf kar diya aur phir se inki dosti shuru hogi. Lekin usko pata nahin tha ki Rajam ne usko maaf nahi karne ka nischay kab ka le liya tha aur woh manne ke liye thayyar bhi nahin hai. Rajam ko jaate hue dekkhe Swami rota aur puchta ki “Rajam, tum kyun ja rahe ho! vapas kab aaoge?” Rajam sirf usko dekhte reh gaya aur Swami ko lagta hai ki woh kuch bolne ke liye apna muh khol raha hai tab tak gaadi ki engine ka shor shuru ho jata hai aur Rajam chale jaata hai. Woh adhura shabd kabhi uske muh se bina nikle.