Hindi, asked by ttarun, 1 year ago

swachata-mansik , sharirik or arthik

Answers

Answered by prakriti27
0
Swachata ye ek aisa shabd h jise log puri tarah se nhi smajh pate. Swachata mtlb safai aur safai hr uss uss chiz ki honi chahiye jo gandi h buri h. hmare mann me na jane har pal kitne vichar aate h magar ye hmare pe h ki hm kin vicharo ko apne mann me rakhna chahte h. hme apne mann se un sabhi bure vicharo ko nikalna chahiye jo na to hmare liye acche h aur na hi kisi aur k liye isko hm mansik swachata kehte h.
Hamara sharir, hme apne mann k saath apne tan ko bhi saaf rakhna chahiye. ydi hmara mann saaf h aur tan ganda to bhi log hme pasand nhi krte h issliye hme apne mann k saath tan ki bhi safai rakhni hogi, isse sharirik swachata kehte h.
Paisa aaj k samay me har jagah ghuskhori aur bhrastachar h. log iske bare me baat to krte h pr koi iske khilaf awaaj nhi uthata h. hm sabhi ko ye sankalp lena chahiye ki hm bhrastachar ko badhawa nhi denge na kisi ko ghus denge na kisi se ghus lenge issi ko hm kehte h arthik swachata.
Hm sabhi ko apne ko inn teeno tarah se swachha rakhna hoga tbhi hm kamyab ho skte h aur apne jeevan me saflata prapt krenge.

prakriti27: pls mark as the best......
Similar questions