Hindi, asked by Jaipartapsingh, 1 year ago

Topic for 2 minutes on corruption in hindi

Answers

Answered by monu7bishnoi
2

Bhrashtachar ki samasya:

 

Agar aaj ke dour mai aajadi ke baad  koi bhi badi samshya bharat desh ke samne hai to wo hai kala dhan aur usse panpta bhrastachar . Pichle 50 saal se ye fodaa dheere dheere ek Censer ban chukka hai jo lagbhag 3rd satge par aa gya hai . ilaaj bahut jaruri hai warna desh ladkhada jaayega . Cheejo ke daam aasmaan chhu rahe hai . Jamakhori badh rahi . Kabhi Pyaaz mehngaa  to kabhi tamatar . ye sab bharstachhar ke paise ke dum par ki gayi ucch darje ki jamakhori hai .Sarkaari daftar se lekar private noukari ke cabin tak brastachar vyapat hai . Aam aadami kis tarah fasa hua hai hum anumaan nhi laga sakte . apne samanya hak aur adhikaaroko ke liye bhi use upar se neeche tak  paisa dena padta hai . Chahe bade saharo mai ghar  khareedna ho yaa kisi gaon mai tubewell lagwana ho. Dono jagah bhanti bhanti tarah ke bhrastachaar hai . Takeef aam aadmi ko hai . wo ghar chaalye yaa afsar ki jeb  garam kare . ye Chai- Pani ka mamla itna door tak aajayega  kisi ne socha naa tha . jiski aaj poora desh bhari keemat chukka raha hai . Bank karz se doobe hue hai .  aam aadmi ki aamdani nahi bad rahi hai . To aakhir wo apisa hai kaha . sab bhrastachaar  ki sakal le chukka hai .  Ab upaay ye hi hai ki ek baar hum   naa kahana seekhe  aur sarkaar ko bhi samjhaye ki wo apne afsaro par lagaam lagaye . hum sabhi kaam online krne ki  koshis kre.jaha tak ho online bhugtaan kre . Sabhi sarkaari kaamo ki jaach ho .E-governance  ka sakhti se palan ho . Tax  bharpaayi ki jaach ho . hum sab sahyog kre sarkaar ke  uthaaye faislo ka . Ek baar takleef jarur hogi par desh dubaara aarthik roop  aazad ho jaayega bhrastachar ki bediyo se . 

Similar questions