udgam Se Hindi shabd samuh ka vargikaran
Answers
Answered by
2
Shabd Samuh : har bhasha ka apna hi ek shabd samuh hota hai. Yeh shabd bhasha ke likhne evam bolne mein upyog hote hain.
Varn Vichchhed: is ka arth hai, har varn ko alag karke likhna.
Shabdon ke teen bhed hote hain vyutpatti ki drishti se. Ve hain;
1. Roon Shabd – Roon shabd unhe kaha jata hai jinke khand ka koi arth na nikle. Jese ki, Gaay, Kursi etc. agar aap in shabdon ke khand karen to koi arth na niklega.
2. Yogik Shabd- do shabd ya fir do se adhik shabdon ke mel se koi ek shab ban jaaye to un shabdon ko yogik shabd kehte hain. Jaise, su+putra= suputra.
3. YogRoon Shabd- yeh shabd yogik hote hain par inka agar khand karen to ek hi vishesh arth prakat hota hai. Jaise, kamal= kam+al, isme kam ka arth prakat hota hai par dusre shabd ka koi arth nahi. Shabd agar Utpatti ki drishti se dekhe to char prakar ke hote hain:
• Tatsam Shabd- hindi ke kuch shabd hain jo Sanskrit se liye gaye hain bina kisi bhi parivartan ke. Unhe hum tatsam shabd kehte hain. Jaise, raja.
• Tadbhav Shabd –shabd jo hindi mein anek dhvani parivartano ke baad aaye hain unhe tadbhav kehte hain. Jaise, uunt, ghora etc. Sanskrit shabd, tadbhav shabd, Usht-Uunt, Ghotak-Ghora
• Deshaj Shabd – dhvani anukaran wale vah shabd jinki uttpati koi tatsam shabd se nahi hui. Jaise, thotha, taindua etc.
• Videshi Shabd – dusri bhashaon ke shabd jo hindi mein prayog hote hain unhe videshi kehte hain.

Similar questions