Hindi, asked by dipikarathod1567, 1 year ago

वास्तविक सौंदर्य क्रम में निहित है

Answers

Answered by monu7bishnoi
2

वास्तविक सौंदर्य क्रम में निहित है

 

 

Mera manna hai ki agar bhagwaan ne hume  agar  bina kisi wisangti ya kami ke sarir diya hai to ye kahna sarsar galat hoga ki hamara rang roop hamare vyaktitva mai badhak hai . Kala gora ya naat aya mota hona wo sarir ki prakaritik banawat hai aur use hume saharsh saveekaar krna chahiye . Sachha Soundrya to karam hai jo aadmike jaane ke baad bhi duniy ayaad krti hai . Apka rangroop to aapke saamne hi issi jeevan mai feeka pad  jaayega lekin apke karmo ki chamak aapke jaane ke baad bhi rahegi . ye sabse bada satya hai . abhi bhi iss avsaad mai naa jiye ki agar mai kalaa hu yaa meri sakal achhi  nhi hai to muje noukari nhi milegi yaa muje koi baat nhi kregaa. Sab waham hai .Agar apki soch achhi hai aur dimaag mai ache vichaar hai to apko jeet se koi rock nhi sakta . Agar  hum dekhe  ki agar bhagwaaan ne hume divyaang banaya hota to bhi hum kuch naa kuch to achha jarur krte . Peraoylumic mai hum dekhte hai ki kis prakaar log  dil aur padak dono jeet lete hai bina apne sarir ke rang roop  aur banawat ke bare mai soche . Hum sada nekiki aur badhe aur badi se door rhe . Sundar karm kre . Jo ki rastra hit aur samaj kalyaan se jud eho . Savayam ki ajivika imaandaari se kamaye au rpariwaar ko achaa jeevan de. Apka jeevan ek film hai aur ap uske nayak hai . Achee krmo se iss flim ho prasidhh banaye . jo ki sab apko yaad rakhe .

Hamara sarir aur roop hume sab se alag pehchaan deta hai . jo ki ek achhi baat hai aur hume iss par grav bhi hona chahiye ki ishwar ne hume auro se alag banaya hai . Agar sab ek  jaise hote to phir jeevan aur prakriti kitni udaas aur neeras lagti . Agar kisi sainik ke chahre pe chot ka nishaan hai to wo uski kami nhi balki  abhimaan hai ki wo yudhh mai desh ke liye lada tha . aj ke iss dour mai rang roop ki baat krna aur use apni tarakki ke liye rukawat man na aur apne vyaktiv ko kisi aur se goun samjana bevkoofi hai . Mukya baat ye hai  ki hum savaym ko kitna maansik roop se kathor aur hardya se sawaachh maante hai .Rang roop bhale hi kaisa bhi ho bas humari soch , niyati ,chritra aur karam maleen naa ho . wo samaj aur savaym ke bhale aur jeet ki soch wale ho . Safalta avashya hi kadam chumegi humaare .

 

 

Similar questions