want format of formal & informal hindi letter
Answers
Answered by
5
Heya.. Empress Here ..
> Formal Letters or Aupcharik Patra Ve Patra Hain jinse humara vyaktigat sambhandh nahi hota. Jaise :-
• Prarthna Patra
• Sampaadak ke naam Patra aadi.
> Aupcharik Patra Ka Prarup :-
1. Aarambh - Pristh Ke baayin or Patra prapt karne wale ka pata.
Seva Me,
........Sambandh,
........Vibhaag,
........Shaher.
Vishay - Sankshipt Rup Me.
Sambodhan ( Mahodaya, Manyawar, Mananiya)
2.Patra Ki Mukhya vishay - vastu.
3. Patra Ka Ant - Patra Ke ant me dhanyawad dekar, baayin or Patra likne wala apne Sambandh ke anurup shabd likh kar niche apne hastakshar Karta hai.
> Informal Letters or anaupcharik Patra ve Patra hai Jo nikat stith sage sambandhiyon , mitron ya mata pita ko likhe gaye hon.
> Anaupcharik Patra Ka Prarup :-
1. Aarambh :- Prishth ke bayin or bhejne wale ka pata. Jaise -
Raajiv
89, Guru Nagar,
Karnaal.
18 November, 20....
Pariksha Bhavan Se Patra Likhte Samay Pate Ke Sthan Par pariksha bhavan tatha sheher ka naam likhna chahiye. Jaise -
Pariksha Bhavan,
......Sheher
Tithi......
2. Sambodhan tatha abhivadan - Patra Likhte samay sambodhan tatha abhivadan ka bahut mahatv hota hai. Sambodhano me visheshan matvapurna hote hain. Jaise -
Pujya/Pujniya Dada Ji,
Saadar Charan Sparsh.
3. Patra Ki Mukhya vishay vastu :- Patra Ka Mukhya vishay sahaj or svabhavik hona chahiye. Vishay ke Aarambh me parivarjano ka haal chaal pucha chaiye tatha ant me unke liye aadar va sneh prakat Karna chahiye.
4. Ant :- Patra Ke baayin or Patra bhejne wala apni avastha ke anukul shabd likh kar niche apne hastakshar Karta hai.
Jaise :- Aapka priya putra, anuj, bhavdiya aadi.
(Hastakshar)
Naam..

Similar questions
Political Science,
8 months ago
Hindi,
1 year ago