India Languages, asked by yashashvirajput6c40, 8 months ago

Write about "Dumdaar khiladi" movie.​

Answers

Answered by somya242008
0

Answer:

nice movie ..........

Explanation:

please follow me please please it is a request please ac per this request please

Answered by gopalwaghmare
2

Explanation:

Anu and Sanju develop a great bond after the latter arrives in Hyderabad and moves in with Anu and her father. However, they realise their love for each other when Anu is set to marry another man.Plus Points:

Iss movie ki jo sabse bada plus point hai, vo hai iss mai mai Energetic star Ram Pothineni ki acting, comic timing aur unke jabardast dance steps.

Ye movie (Dumdaar Khiladi) apne genre ko puri tarah se justify karta hai, kaafi baar esa hota hai ki, movie to banai hoti hai romantic lekin usme romance ke naam par aapko kuch nahi milega, lekin aapko iss movie ke saath esa dekhneko nahi milega.

Iss movie ka jo agla plus point hai, vo hai iss movie ki star cast. Ji haa dosto jiss movie Ram, Prakash Raj, Anupama aur Parinitha jaise actors ho uss mai aap atleast performance pe to bilkul sawaal nahi utha sakte hai.

Movie mai Ram ki jodi Anupama aur Parinitha dono ke saath bohat pyaari lagti hai.

Movie ke gaane bohat aache hai (Dumdaar Khiladi yani Hindi version mai sayad gaano ko hata diya jaaye)

Minus Points:

Film mai vese to minus points ke naam pe kuch bhi nahi hai, lekin agar movie ka direction aur movie mai itne pyaare actors nhi hota to hume kaafi had tak movie ki story thodi si purani lagti jo ki humne pehle bhi kaafi Telugu filmo mai dekh chuke hai.

Iske alava film mai kuch emotional scenes the jo ki aur jyada emotinal kar sakti thi.

Story of Dumdaar Khiladi:

Dumdaar Khiladi story hai, Sanju ( Ram Pothineni ) ki. Sanju ek gaon mai pala badha hai aur usne apni padhai bhi apni gaon se hi puri ki hai. Sanju apne mummy aur papa ke saath rehta hai, aur ab uski koi job karne ki umar bhi ho chuki hai. Aur uske Papa aur mummy chahte hai ki Sanju Hydrabad ja ke koi acchi se job kare. Lekin Sanju apne Dosto aur Mummy-Papa ko chod kar nhi jaana chahta hai. Phir ek din Sanju ko pata chalta hai, uske job na karne ki vajh se uske Mata-Pita andar hi andar bohat jada dukhi rehte hai. Isliye vo decide karta hai ki vo Hydrabad Jaayega aur koi Job Karega

Jab vo Hydrabad jata hai, tab uski mulakat hoti hai Anu ( Anupama Parmeshwaran ) se. Phir Sanju ko pyaar ho jaata hai Reethu ( Parinitha Subhas ) se. Phir kaisi rehegi Sanju ki love story, yehi movie ki aage ki story hai.

Similar questions