Hindi, asked by vaishnavi91, 1 year ago

write ten new shayaris, in hindi. write fast

Answers

Answered by puneet19
0
Zahid sharaab peeney de masjid mein baith kar,
Ya woh jagha bata jahan Khuda nahin ...!
{Mirza Ghalib}

Masjid khuda ka ghar hai, peneey ki jagha nahi,
Kaafir ke dil mein jaa, Wahan Khuda nahi ...!
{Allama Iqbal}

Kaafir ke dil se aaya hun mein ye dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usay pata nahin ...!
{Ahmad Faraz}
2#
Kuch na kisi se bolenge
tanhaai mein ro lenge

Hum berahbaron ka kya
saath kisi ke ho lenge

Khud to huey rusvaa lekin
terey bhed na kholenge

Jevan zahar bhara saagar
kab tak amrit gholenge

Nind to kya Aayegi 'Faraz'
maut aaey to so lenge ...!
--
3#
Ab naye saal ki mohlat nahin milney vaali
Aa chukey ab to shab-o-roz azaabon vaaley

Ab to sab dashnaa-o-Khanjar ki zubaan bolatey hain
Ab kahan log muhabbat ke nisaabo vaaley

Zinda rahney ki tamanna ho to ho jaate hain
Faakhton ke bhi kirdaar uqaabon vaaley

Na mere zakhm khiley hain na tera rang-e-hina
Mausam aaye hi nahin ab ke gulaabon vaaley ...!
--
Apni gali men mujhko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyuun tera ghar mile

Aaina dekh apna sa munh le ke rah gaye
saahab ko dil na dene pe kitna guruur tha

Aaye hai be-kasi-e-ishq pe rona ‘Ghalib’
kis ke ghar jaayega sailaab-e-balaa mere baad

Aage aati thi haal-e-dil pe hansi
ab kisi baat par nahi aati

vaishnavi91: no i want diffrent shyaris
Answered by Anonymous
5

Answer:

About Friends

Dosti Hoti He

One Time,

Hum Nibhate Hai

Sometime,

Yaad Kiya Karo

Anytime,

Tum Khuch Raho

All time ,

Yahi Dua Hai Mere

Lifetime

Similar questions