Hindi, asked by kartiMoonikii, 1 year ago

Yadi pariksha nahi hoti paragraph in hindi

Answers

Answered by Anonymous
3
Yadi Pariksha naa hoti .. Ye sun ne mai bahut achha lagata hai . Phir hume kisi baat ki parwah nhi hoti . Hum sirf apne manmarzi si padhaayi krte . Hoo sakta hai class mai bhi apni ichaa se jaate aur aate . Ghar se school jaane ka kabhi koi davab nhi hota . Sab kuch achha achha lagata . Naa hi ghanto table par baith kr padhna padta .Naa hi antim din parinaam sun ne ka dar .

Lekin kya ye sahi hai ki agar pariksha hi naa hoti to achha hota . Pal bhar ke liye ye sayad achha lagata hai . Lekin kahi yr hi pal bhar ki khushji hume jeevan bhar kamjor naa banade. Isliye parikha honi chahiye jis se hum sawayam ko parakh sake aur apna mulyankaan kr sake. Parisha hume ye batati hai ki hum kitne paani mai hai aur hume kistni mehanat ki aavsyaakta hai . kyuki har kaam ka ek nayuantam mulyaankan hota hai agar us se neeche parinaam aata hai to phir jarur koi kami rahi hai . hume wo kami ko pehchaan kar us se aage bad na hai .Pariksha hume apne aane waali chunotiyo ke liye teyaar krti hai .Issliye Parishaa ye jeevan mai bahut aavshyak hai aur jaruri bhi hai . har waqt baalak ko apna satya istithi jaana aur parakhana chahiye .
Similar questions