Debate help , topic padhoge likhoge to banoge nawab khelo kudoge to banoge kharab.
Answers
padhoge likhoge to banoge nawab
khelo kudoge to banoge kharab!!
Ye ek Purani kahawat hai jismai kaha gya hai ki agar tum ache se padhoge aur likhoge to nawab banoge yaani ki bade adhikaari ya koi uchhe pad par pahuchoge Aur agar sirf khelte hi rahoge to kaamyaab nhi ho paaoge . Bigad jaaoge .
Lekin aaj ke iss dour mai ye kahawat thodi bemaani aur arthheen lakati hai . Hume Padhayi kihaayi aur khed kood dono ki jarurat hai . Dimaag ke liye Padhaayi likhayi aur ache sarir ke liye khel kood bhi ati aavsayak hai . Warna motapa aur naa jaaen kitni bimaariya humare sarir ko apna ghar bana legi. Atah bhalayi issi mai hai ki hum khel kood aur padhayi likjhaayi dono mai achhaa taal mel banake chale . EK madur aur srasth saamjasya jaruri hai safalta ke liye . Kya faayda ki pariksha ke din thakawat ya bukhaar aa jaaye aur kya matlab ki exam mai fail ho jaaye aur sirf maidaan mai jeet te rahe . Hume deemaag aur sharir ke iss bandhan ko samj kar dono baate smaysaarni se karni chahiye . Isi liye kaha jaata hai ki Sawath sarir mai ek savsth mastiksh rahta hai .Pahala shukh nirogi kaya aur Vidhya hi sressth dhan hai .
Answer:
hi friends this is the best topic that means if you will study more you will get success and if you will not study you will not get success so I think if will study so if you will get success and it will not get study if you don't get because