Debate in against of anushasan ke liye dand aavashyak hai ya nhi
Answers
Anushasan ke liye
dand aavashyak hai ya nhi
Anushasan ke liye dand prathamtya aavsayak nhi hai jaha tak mera maan na hai ,kyuki Aunshasan ke savyam pravarti hai jo ki insaan apne man se seekhta hai . Ek baar bata de ne se use apna bhala bura samj aa jata hai .Agar hum class ki baat kre to hum dekh sakte hai ki aur bhi bahut se upaay jis se balko ko anushasansheel banaya jaa sakta hai . Dand ek antim upaay hai . Us se pahle hum payaar se , pralobhan se yaa ki baat se dara kr k bhi unhe anushashit kr sakte hai . Lekin agar udhaandta laga taar bahd rahi hai to halka bal prayog thik hai lekin kahi us mai davesh bhavnaa paida naa ho jaaye . Atah jaha tak ho anusashan ke liye dand ka prayog hum naa hi kare to behtaar hai . Balak ko samjaaye ki aisa krne se kya haaniya hai aur anushasan mai rahen se kya faayde hai .Sayad wo samay ke saath majne lag jaaye ki muje sabki baat manani chahiye aur koi badmaashi nhi krnj chahiye .Atah jaha tak ho hum bachho mai anushansheelta ka beej bachapn mai hi boye to hume ek achha aur srasth naagrik banae mai koi smasyaa nhi hi hogi. Mahavidhyalay mai pravesh ke baad ye bahut kathin ho jata hai ki hum kisi ko anushasan ka path padhaye. Lagataar pratan aur yog aur pranyam ki sahayta se koi bhi savaym ke upar sav anushasan laagu kr sakt ahai . Dand ki koi aavshyakta nhi rahegi.