Hindi, asked by anjalishyam6126, 1 year ago

Kabhi kabhi hardat wah dekh leta hai jo akhe dekh nahi pati

Answers

Answered by ruppunzel7275
0

Hm kabhi kabhi kisi bhi vyakti ko sirf dekhkar hi keh dete hai ki yeh aisa hai vaisa hai,kintu hmra hyrday use parakhta hai.

Koi khatra ane wala ho ya kuch subh hone wala ho hmre hriday ko aabhas ho jata hai,bhale hi hmri aakhe na dekh paa rhi ho.Ankhe bhale hi band ho par hyrday ke darwaje sadav khule rehte hai,hmra hryday mehsoos kr leta hai jo ankhe nhi kar paati.Hmra hryday kabhi kabhi kisi ke man me chupi bhavnay chahe veh buri hi kyu na ho use mehsoos kr leta hai par hmri aakhe sirf vhi manti hai jo usne dekha ho.Koi vykti kitna accha hai ya bura hai,yeh hmri aakhe dekhkr bata deti hai par kbhi kbhi sacchai kuch aur hi hoti hai jo dil jaan jata hai.Kisi ki khoobsurti,aakhe dekhti hai par uske man ki khoobsurti uska hryday dekhta hai.Isiliye apni akho ke saath saath apne hryday ki baat bhi sunni chaiye.

Pyaar hryday hi mehsoos krta hai,akhe to bas dekhti hai.Isi tarah hmra hryday jewan ke kayi mod par hme vo dikha deta hai jo aakhe kabhi dekh nhi pati hai.

I hope it helped,they were just key points add more lines to it.Hit a thanks!

Similar questions