Sapne me chand ki yatra( journey to moon in dreams ) can i get an essay in hindi
Answers
Sapne me chand ki yatra
Meri humesha se ek jigyasa thi ki humaari dharti upar se kaisi dikhti hai . ek saath poori dharti ko dekhna kaisa lagta hoga . Aj school hume Nehru Taramadal le jaa rhi thi . Waha jaa ke pata chala ki prathvi se bhi door ek duniya hai jaha se hum dharti ko dekh sakte hai .Main wapas aate wkqt poore saaste bus mai ye hi sochta raha ki dusre graho par jeevan kaisa hoga . Khaas kar chaand aur suraj par . Pata chala ki suraj par to jeevan sambhav nhi hai kyuki wo ek aag ka gola hai . Aur wo to bahut chhota hai uske jaise aur bhi bahut hai jo us se bade aur jaayda garam hai . Lekin Chaand par to jaya ja sakta hai . saam ke 9 baj gye the . main khaana kha ke sochte sochte so gya .
Ye kya ? main to ud raha hu . Muje koi pakdo . Aur ye kya bhaari sa poushaak hai . mere sar pe ye helmet jaisa kya hai . Jab maine palat kar dekha to waha ek ajeeb saa wahan khada tha . uspe lika tha “Chandrayaan”.muje samjte der nahi lagi ki ye to chaad par jaane wala wahan hota hai . Main to chaan pe hu aur maine Spacesuit pahan rakha hai . meri khushi ka thikaana nhi raha . Main uchhalna chahta tha par mere paav meri marji ke anuroop nhi pad rhe the . kahi aur hi jaa rhe the .main samaj gya , ye sab gurutavkarsan bal ka khel hai . main khud ko bhaarheen mehsoos kr raha tha . aur muje meri aawaj bhi sunai nhi de rahi thi . 4 log kisi vastu ko thik kr rhe the . pata chala ki hum Hubble camera ke lens badalne aaye hai jo ki 10 saal se lage hue the aur hume chaand ki tasvere aur uspe hone wale pariwartano ki jaankaari bhej rahe the . Uspe bahut mitti jamgyi thi . chitr saaf nhi aa rhe the dharti par banaye hue niyantarn kash mai. Wo log meri team ke saathi hai . Main bhi unki madad krne laga kyuki hume pata chala ki humaare pass samay kam hai . Hum sabne fatafat lens badal diye aur saare screw dubaara thik se laga diye . humne bahut photo kheenche aur mitti aur kandad ke namoone bhi liye . chaand ke bare mai aur khoj krne aur jaanne ke liye . hum aise kaam kr rhe the jaise koi doctor ki team mareej ki shalya chikitsa kr raha hai. Hum ne badi saavdhaani se sab kuch mission ki jarurat ke hisaab se kr diya . sab thak gye the aur bhook bhi lagi thi . kyuki waha ka taapmaan aur watawaran prathvi se alag tha .muje ajeeb sa mehsoos ho raha tha . Lekin waha se taro ko aur prithvi ko dekhna ek sapne ke sach hone jaisa tha . humaari prithvi bahut sundar lag rhi thi . tare bahut chamak rhe the aur timtima rhe the . aisa lag raha tha ki wo humaari taraf hi aa rhe hai , likin phir aisa laga ki unhine apna raassta badal liya .ye bhi koi vigyaan ka hi prabhav lag raha tha . Hum chardayaan mai wapas aakar baith gye . dravya padaarth ka bhojan kiya . kuch vishes prakaar ka bhojan tha jo aisi yaarta mai kaam aata hai . sarir ko laabh pahuchata hai aur aasaani se pach jaata hai .Chandrayaan apni dharti ke liye rawana ho gya . lekin hum waha par apna tirenga fairana nhi bhoole . uske saath photo bhi liya . jeevan ki ek sabse yaadgaar tasveer jo sab sahej ke rakhna chahte the . Teji se hum dharti ki taraf badh rhe the . Bahut gharshan aur gurutavakrshann mehsoos ho raha tha . Hum Bahut teji ke shor se dharti par dhamm se aa ke ruke .
Aaspaas shor ho raha tha aur meri meri mummy muj pe chilla rahi thi ki school ke liye vilambh nhi ho raha kya ??
Main samj gya ki ye sab kuch to ek sapna tha . main to dharti par hi hu. Aur mai saant ho gya . Par man mai ek badi umaang thi ki maine sapne mai hi sahi par chaand ki sair kar to li .jo ki yaadgaar aur romaachkaari thi .