sumarry of miya nasiruddin
Answers
Answered by
92
Miya Nasiruddin mein lekhika Krishna Sobti ne Nasiruddin ke personality, behaviour, and hobbies ki vyakhya ki hai. Nasiruddin Miya apni Masihaye andaaz mein roti pakane ki kala mein khandani maharat ke baare mein batate hain. Wah apne peshe ko kala ka darza dete hain aur maante hain ki kisi bhi kala ko karke seekhne main hi asli hunar hai. Lekhika ek baar din ke samay ghumte-ghumte Jama Masjid ke paas ek muhalle mein ek andheri dumaan ke paas aati hian to pata chalta hai ki wah khandaani Nanabai Nasirudden ki dukaan hai aur Miya chappan (56) tarah ki rotiyan banane ke liye mashhoor hain.
Jab lekhika unse puchti hain to Miya Nasirudden samajh jaate hain ki wo ek patrakaar (journalist) hain. Tab bhi wah apne prashnon ka uttar bahut hi aatmvishwas ke saath dete hain aur bataate hain ki yah unka khandaani pesha hai. Unke purvajon ne baadshah ke darbaar mein bhi kaam kiya hain. Jab lekhika ne us baadshah ka naam pucha to wo thora khisiya gaye. lekhika unse unke bete aur batiyon ke baare mein bhi puchna chaahti thi par unke chehre ke bhaav dekhkar unhone is vishay par baat karna uchit nahin samja.
Aage baaten karte huye pata chala ki miyan apne shagirdon ka bahut aadar karte hain aur unhen uchit vetan bhi samay par dete hain. Lekhika unke roti banane ki kala aur unke peshe ke prati unka samarpan dekhkar bahut hi prabhavit hui.

4
मियाँ नसीरुद्दीन को नानबाइयों का मसीहा कहा गया है क्योंकि वे साधारण नानबाई नहीं हैं। वे खानदानी नानबाई हैं। अन्य नानबाई रोटी केवल पकाते हैं, पर मियाँ नसीरुद्दीन अपने पेशे को कला मानते है। उनके पास छप्पन प्रकार की रोटियाँ बनाने का हुनर है।
Similar questions