Summary of poem samay by ramdhari Singh
Answers
Answered by
1
Samay Kavita me kavi Shri Ramdhari Singh Dinkar samay ke mahatv ka warnan kar rahe hai. Unka kehna hai ki samay sabse balwan hai. Koi bhi kitna bhi shaktishali kyun na ho samay ke aage sabhi ko jhukna hi padta hai. Samay ke niyamon ke anusaar paryavaran bhi parivartan karta hai. Is prakar hum manushyon ko bhi samay ka sadupayog karna chahiye. Samay par karya karne wala kabhi jivan me parajit nahi hota. Samay ka sadupayog kar mukta ke saman bahumulya jivan ko hum sahi disha de sakte hai. Samay hamesha gatisheel hai aur woh kisi ke liye nahi rukta. Jo samay beet Gaya woh wapas bhi nahi aata. Isliye samay ka sadupayog karna atyavashyak hai.
Hope this helps buddy:-)
Similar questions