Hindi, asked by jandilakheel, 1 year ago

Summary on rani ma ka chabutra in hindi more than 100 words

Answers

Answered by Lusfa
3
Mannu Bhandari bhartiya itihaas ki ek atiuttam lekhika rahi hain.Unhone mahilaaon ke upar kaafi kahaniyaan likhi hain.In sbhi kahaniyon main nayikaayein ek aam mahila ki hi tarah kathin parishthiyon ka saamna karti hai
aur fir unse baahar aati hai.
"Rani maa ka chabutra" bhi Mannu Bhandaari ki ek uttam rachna hai.Is kahani ki Nayika hai Gulabi.Uska pati usse talak de deta hai.Gulabi ke upar apne do chote chote bacchon ki zimmedari aa jaati hai.Wo mehnat mazdoori kerti hai aur apne bacchon ka pet paalti hai.Ek baar usse school main dakhile ke baare main pta chalta hai.Wo bhi apne bacchon ko school main dakhil kerna chahti hai per uske paas itne paise nhi hote.Wo chahti hai ki uske bacchon ko padh likhker ek acha jeevan mile.Wo bohot zyada mehnat mazdoori kerti hai aur paise jutaati hai.Ek din Gulaabi behosh zameen per 
gir jaati hai.Uske haath main school main daakhile ki rassed hoti hai.
Is kahani se humein swabhimaan ki ahmiyat pta chalti hai.Ek mahila jaan ladaker bhi apne bacchon ko school main daakhil kerti hai.Uske paas paise nhi hai phir bhi usne bheekh maangne ke bajay mehnat mazdoori kerna behtar samjha.


give me brainlest
Similar questions