Hindi, asked by Harry05, 1 year ago

Wabt an essay agn in hindi plz guys fast as uh can be
Ek maulik kahani likhiye- isiliye kehte hai netik patan se hi desh ka patan hota hai
Means - ki jab hmare andr se moral values ktm hojayege tho desh ke andr(inside) se bhi moral values ktm hojayege !!!!

Answers

Answered by no2
2
Heyaa folk,

Following is your essay =>

Desh banata hai logo se unke vicharo se unke kaamo se. Agar kisi desh mein sare achhe log rehte ho jinhe sabka aadar samaan karne aata hai toh woh desh ka kabhi koi baal bhi baaka nahi kar sakta aur us desh ki kabhi koi burai bhi nahi karega aur usko ek pratima(idol) ki tarah liya jaega. Lekin agar kisi desh mein ese log rehte ho jaha sirf sab ek dusre se hi ladte ho toh us desh ka vikas kabhi nahi ho sakta hai.

Desh hum banate hai kyoki desh ko andar se bharne wale hum hi hai. Ab vo hum par nirbhar hai ki hum usse kis rang dhang se bhare chahe woh achha evang mek rang ho ya phir bura. Or usse hum jaisa bhi rangenge vaisa hi logo ho dikhai dega.

Ek kahani prastut hai>>>>

Kashmir pehle ek bhaut shamti priy jagah mani jati thi aur Kashmir mein log shanti priy rehte the aur wha khoob saare paryatak ghumne aate the aur wha ke sundar nazare dekhne aate the par pakistan ke bharat mein se alag hone ke baad kashmir mein jo maar kaat hinsa shuru ho gyi tabse nah toh koi kashmir ko achha kehta hai or naa hi Kashmir mein kisi ki jaane ki himaat hoti hai. Jisse suno woh Kashmir ke baare mein bura hi bolta hai ki woh ek hinsak jagah hai or bahut buri jagah hai.

Kashmir mein jab achhe naitik wale log rehte toh wha ki sab achhai karte par jab wha hinsa wadi log rehte toh sab uski burai karte.

Issi prakar agar humare desh mein achhi naitik wale log rhte ho toh sab uski achhai karte hai parantu jab humare desh mein maar kaat hone lage ya phir wha seet yudh jaisa mahol ho toh wha koi aana pasand nahi karta.

====================================

Hope this helps ya!!
Similar questions