Hindi, asked by harshmehtahm123, 11 months ago

Agni path poem summary in hindi

Answers

Answered by ankitsharma2005
2

' Agnipath ' Harivansh Roy Bachchan ki mahatvapurn aur prasith kavita hai. yah kavita manushya ke sangharshmaya jeevan ko darshati hai. Agnipath manushya ke sangharsh yukt jeewan Ka prateek hai. is kavita me kavi manushya ko nirantar karmrat rahne Ka sandesh deta hai. karm ki purti ke bina kisi tarah ke sukh ki chah nirarthak hai. kavi manushya ke ' ashru - Swed - rakt se lathpath ' Agnipath par chalte rahne ko prerit karta hai. yah kavita hame nirantar karmrat rahne ki prerna deti hai. lakshya tak pahuchne se phle rahi ko na to chhaya dhoondhni chahiye aur na hi use thakna ya rukna chahiye. Is drid nishchaya ke sath hi manushya ko badte rahna chahiye. Pichhe mudkar dekhna sangharsh shil vyakti Ka kam nahi. Is kavita me shabdon ki bar bar punaravriti manushya ko aage badne ki prerna deti hai.


Hope it helps ^_^

plz mark it as brainliest



Similar questions