Hindi, asked by jharpude, 1 year ago

यदि किताबे न होती निबंध

Answers

Answered by waseemMohammed
52
Hi dear friend, here's your answer in the above pic. PLEASE MARK IT AS BRAINLIEST ANSWER
Attachments:
Answered by preetis
12
AGAR KITAABE NA HOTI TOH............ the

           Padhna seekhne ke baad jin kitabon se sabse pehele parichai hua woh russian books thi . Rang birangi,khubsurat pictures se bharpur. Kisi bhi exibition se buss hamare liye books hi aati thi. Papa aur mom ko padhne ka bahut shauk tha. Hamare ghar per ek librari thi .Dheron books thi.Magzines ghar per zaroor aati thi.Ghar per sub hi padhne ke shaukin the. Jaishanker Prasad ki Kamayani,, Ravindranath Tagore ki Geetanjali, Gorki ki Ma,Tolestoy ki Yudh aur shanti,Anna kerenena, Agyey ka Jhuta sach,Premchand,Kalidas,Shakespear,Amrita Preetam,Rangey Raghav,Mohan Rakesh,Kamleshwer se lekar Colonel Ranjit, Omprakash Sharma,A Hamid, Gulshannanda bhi ussi utsah se padhte the. Young age mein Dharmaveer Bharti kaGunaho ka devta kai kai baar padha,aansuo ke saath padha,aise hi Asadh ka ek din,Shekhar ek jeevani, Andhere bund kamre in novels ne mere jeeven per bahut asar dala. Kabhi kabhi sochti hun ye kitaben na hoti toh kya hota?mera jeevan kaisa hota???aadhi sadi ke iss jeevan mein meine itni kitaben padhi hain ki  shayad iss samsy toh mein naam bhi na le paaoon. Ab iss tv aur computer ke zamane mein kitaben bahut yaad aati hain kyon ki ab padhne ka samay nahi milta.Ab bhi padhti hun,In kitabon ka mere jeevan per bahut prabhav hai. Ye kitaben na hoti toh kya hota!!!!!!

Similar questions